Spiritual Healing
Jawab : Allah taala ne har ensaan ko kaayenaat mein
mojood tamam aloom haasil karne ki salahiyaten ataa ki hain halaat se aur mahol
ke assar se kuch salahiyaten ziyada numaya hojati hain aur baqi salahiyaten dab
jati hain. ( khatam nahi ho jatein ). Jab koi aik salahiyat ziyada numaya ho
jati hai to is salahiyat ko browe car laane ke liye ensaan ke andar zouq o shoq
peda ho jata hai lekin is ka matlab yeh nahi hai ke doosri moattal salahiyaton
ko ujagar kya jaye to is mein ensaan kamyaab nahi ho sakta. Is qanoon ki roshni
mein yeh kehna ke mere andar musawari aur soul engineering seekhnay ki fitri
salahiyat mojood nahi hai. Ghalat hai, mera khayaal hai ke soul engineering aur
musawari ko farogh dainay wali salahiyat aap ke andar doosri salahiyaton se
ziyada taaqatwar hai. Sirf zouq o shoq ke sath mehnat karna zurori hai. Aap agar
is taraf poori tavajja ke sath lag gaye to Insha Allah aap ka shumaar naamwar
anjinyron mein ho ga. Chaltay phirtay wuzu aur baghair wuzu har haalat mein har
waqt ya hi ya qayum ka vird karen.