Books

Qalandar Shaoor-Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Qudrat apney pegaam ko pohchaaney key liye diye se diya jalaati reheti hai. Mar’fat ki mashal aik haath se dusrey haath main muntaqil hoti reheti hai. Sufi, wali, gaus, qutab, ma’joob, otaar, qalandar, abdaal qudrat key haath hain jin main roshini ki mashal roshan hai. Yeh paakeezah log is roshini sey apni zaat ko bhi roshan rakhtey hain aur dusro’n ko bhi roshini ka in’ekaas detey hain. Sirf ta’reekh key oraaq hi nahin logo’n key dilo’n par bhi is buzurg ki daastaanein aur chasham deed waqiaat zindah aur mehfooz hain. In ki duaao’n sey murdo’n ko zindigi, beemaaro’n kw shifa, bhooko’n ko giza, gareebo’n ko zar, behaal logo’n ko baal wa par, be sahaara aur bekas logo’n ko olaad aur maal o mataa key inamaat miltey rehete hain.